23-July-2020, 11:10PM
Aaj usne muje yaad kiya, din bhar yaad kiya.
Chehre pe fir ek khushi si ayi, uski mohabbat fir yaad ayi,
Par tassali nhi huyi is mann ko,
Dil abi b toota hai, apne tukre pakad k baitha hai,
Kehta hai mai abi jinda hu, apne tukre lekar bhatak rha hu,
Aaj kuch khas tha, dil uske liye betaab sa tha,
kehna tha use kaafi kuch, par janta tha kuch matlab nhi ab un baato ka,
Jab uske hatho me hai hath kisi aur ka.